Monday, 28 May 2012

Mohabbat Shairii Hargiz Nahi Hai...!!!


Mohabbat Shairii Hargiz Nahi Hai...!!!
Theek Kehte Hain,
Mohabbat To Kisi Be Deep Qabristaan Ki,
Boseeda Si Ik Qabr Pr Woh Nassb Katba Hai,
K Jis Pr Saaf Likha Ho,
"Shaheed_e_Raah_e_Ulfat"
"Aashiq_e_Nakaam Ka Marqad"
Mohabbat Aik Katba Hai...!
Laga Hota Hai Jo Aksar,
Kabi Laila K Marqad Pr,
Kabi Majnoo Ki Hasrat Pr,
Kabi Sohni K Matkay Pr,
Kabi Raanjhay K Teeron Pr,
Mohabbat Aik Katba Hai...
K Jis Pr Saaf Likha Ho...
Mohabbat Maut Ki Aaghosh Mein Sir Rakh K Sona Hai,
Mohabbat Dil Pe Laa'haq Rog Hai,
Taa'Umr Rona Hai,
Mohabbat Raat Bhar Ka Jaagna,
Aur Jaan Khona Hai,
Mohabbat Aarzu_o_Hasrat_o_Armaan_o-Khaawhish Ki,
Kisi Maidaan Mein Rakhii Hui Aik Aisi Mai'yyat Hai,
K Jis Ko Kandha Dene K Liye
Koi Nahi Aata,
Magr Phir Bhi,
Lab'on Pr Har Kisi Insaan K Rakha Hai Ye Jumla,
MUJE TUM SE MOHABBAT HAI...!
Koi Mujh Se Agr Keh De,
Muje Tum Se Mohabbat Hai,
To Darr Jaata Hoon Main Be'Hadd,
Yeh Dil Mein Wehm Aata Hai,
K Ye Izhaar Ka Jumla,
Mohabbat Ka Yeh Ik Katba,
Phir Kisi Be Deep Qabristaan Ki,
Boseeda Si Ik Qabr Ki
Zeenat Na Ban Jaaye,
Mohabbat Ka Yeh Katba,
Phir Nayii Aafat Na Ban Jaaye,
Wohi Katba
K Jis Pr Saaf Likha Ho,
"Shaheed_e_Raah_e_Ulfat,
"Ashiq_e_Naakaam Ka Marqad"......!!!

No comments :

Post a Comment