Faqat Jism'on Kii Durrii Ko,
Judaaii Maan'Nay Walay,
Mohabbat Kr To Letey Hain,
Mohabbat Ki Inhein Raahon Pe Chalna, Pr Nahin Aata,
Boht Raahon Mein Kaantay Hain,
Boht Dushwaar Hai Chalna,
Judaii Aik Chaara Hai,
Juda Rehna Bhi Mushkil Hai,
Mohabbat Kr To Letey Hain, Magar Iqraar Mushkil Hai,
Koii Dil Mein Jo Bas Jaaye, Bhulaana Us Ko Mushkil Hai,
Yeh Kia Samjhein?
Ke Jism_o_Jaan Kii Durrii, Jisay Hum Hijr Kehte Hain,
Yehii Bunyaad_e_Mohabbat Hai,
Kisi Ke Hijr Mein Rehna,
Kisi Ki Yaad Mein Khud Ko, Bhula Dena Ibaadat Hai,
Judaii To Dilon Ki Durriyon Ka Naam Hai Pyaare,
Wo Gehrii Jheel Sii Aankhein,
Jo Har Pal Mujh Se Kehtii Hain,
Mohabbat Se Mehaktii Un'Kahii Khaamosh Sii Baatein,
Inhii Ke Dam Se Hain Khush Rang Se Manzar,
Khush'Numa Lamhay,
Mehaktey Phool Se Mausam, Chamaktii Chaand Sii Raatein,
Magar Yeh Dil Kii Baatein Hain,
Inhein Dil Hii Smajhta Hai,
Inhein Hum Log Kia Jaanein,
Ke Hum To Hijr Ke Maa'rey,
Ajab Sii Aarzoo Le Kr Usay Yun Dhoondney Niklein,
Ke Mil Jaaye To Honton Pr, Sawaalon Sa Jawaabon Sa,
Koii Bhi Harf Na Aaye,
Ke Us Ko Saamney Paa Kr,
To Khud Ko Bhool Jaatey Hain,
Na Dil Mein Durriyon Ka Darr
Na Us Ke Wasl Kii Khaawhish,
Ke Hum To Hijr Ke Be'Zaad_e_Safar
Be'Maal_o_Zarr Koii Musafir Hain,
Humein Rehne Do Tum Yunhii,
Humein Hai Hijr Mein Rehna....!!!
No comments :
Post a Comment